aap dil mein ho yeh dil ki bat hai aap ko na ho yaqeen, yeh or bat hai jab tak rahegi saans tab tak rahegi yaad yeh saans toot jaye tu aur bat hai | ||
mera hathon ki lakiroon k ezafay hein gawa mein nay pathron ki tarha khud ko tarasha hai bohat | ||
Buht hi mudat k baad kal jab kitab-e-maazi ko meine khola buht se chehray nazr mei utray buht se namoon pe dil paseja aik aisa safha bhe usme aya likha huwa tha jo ansuoon se k jiska unwan "HUMSAFAR" tha jo safha sabse hi mautabar tha kch aur ansu phr us pe tapkay phr us se agay mei parh na paya kitab-e-mazi ko bandh kar k tumhare baton mei kho gaya mei agr tu milta to kaisa hota Inhi khayalon mei soo gaya mei. | ||
Kathin hey zindagi kitni safar dushwaar hey kitna kabhi paaon nahi chaltey kabhi rasta nahi milta hamen to sheher men koi terey jesa nahi milta mujhey phir bhi merey maalik koi shikwaa nahi tujh sey men har dukh jhail sakta hoon men jaan par khail sakta hoon agar too aaj hi kar day muhabbat hamsafar meri. | ||
Merey Humsafar Bersoon Ki Soch main sochoon to Kuch Perchahiyaan Kuch Pachtaway Merey Humsafar Hain Bersoon Ki Chahat Ko Lamhoon Main Sochoon To Kuch Aansoo kuch Shikway Mery Humsafar Hain Bersoon Ki Rafaaqat Ko Lamhoon Main Sochoon To Kuch Nafratain Kuch Fasle Merey Humsafar Hain Bersoon Ki Dosti Ko Lamhoon Main Sochoon Ko Kuch Kirchiyaan Kuch Zakhm Merey Humsafar Hain Bersoon Ki Mohabaat Ko Lamhoon Main Sochoon To ik Kho-khala Dil Kuch Murda Jazbaat Merey Humsafar Hain. | ||
Chalo ik baar phir se ajnabi bun jaen hum dono na main tum se koi umeed rakhon dilnawazi ki na tum meri taraf dekho galat andaaz nazron se na meray dil ki dharkan larkharaey meri baton se na zaher ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se tumhain bhe koi uljhan rookti hai paish qadmi se mujhay bhe loog kehtay hain k ye jalway paraey hain meray hamraah bhe ruswaiyan hain meray mazi ki tumharay saath bhe gozri hoe raton k saaey hain ta"aruf roug ho jaey tu usko bhoolna behtar ta"aluq roug ban jaey tu usko toorna acha wo afsana jisay anjaam tak lana na ho mumkin uasay ik khoobsorat mour de k bhoolna acha Chalo ik baar phir se ajnabi bun jaen hum dono. | ||
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein, Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho Mujhe Ek Raat Nawaz De , Magar Uske Baad Saher Na Ho Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai, Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Karein Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon, To Dua Mein Meri Asar Na Ho Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke, Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke Yun Hi Saath Saath Chalein sada,Mere Paas Mere Habeeb Aaah, Zara Aur Dil Ke Qareeb AaAh, Tujhe Dhadkano Mein Basalon Main, Ke Bichhadne Ka Kabhie Dar Na Ho Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho. | ||
Niend tow khawab ho gai shaid Jins nayab ho gai shaid Apnay gharr ke tarha wo larrki bhi Nazar selab ho gai shaid Tujh ko sochoo.n tow roshni dekhoo.n Yoo.n mahtab (Moon) ho gai shaid Aik mudat say ankh roi nahi Jheel payab ho gai shaid Hijar kay panioo.n mein ishq kee nao Kahein gharqab ho gai shaid Chand logo.n ke dastaras mein hay Zeest kam khawab ho gai shaid. | ||
Hum tak aya to mehr E lutf O karam Tera waqat E zawal tha kia tha Jis nay teh say mujhay uchal dia Dobnay ka khiyal kia tha Jis pe dil saray ehed bhole gia Bhoolnay ka sawal tha kia tha Titliya.n thay hum our qaza kay pas Surkh phoolo.n ka jal tha kia tha. | ||
Ik shakhas ko sochti rahi mein Phirr aiena dekhnay lagi mein Is ke tarha apna nam lay kar Khood ko bhi lagi nai nai mein Too meray bina na reh saka tow Kab teray bagheir jee sakee mein Ati rahay ab kahein say awaz Ab tow teray pass aa gai mein Daman that era keh mera matha Jo dagh bhi thay mita chukki mein. | ||
Comments